Guna Aalo'd Chehray Ashk Se Dhlwaye Jate Hain
Guna Aalo'd Chehray Ashk Se Dhlwaye Jate Hain
Guna aalo'd chehray ashk se dhlwaye jate hain
Mawajeh par, phir us ke baad zaer laye jate hain
Kiya jata hai seiqal, jaan ko ehsaas-e-nadaamat se
Yahan lanay se pehle chashm o dill chamkay jate hain
Hai paas khatir pakeeza sarkar, Allah ko
Guna gaar is jagah par, paak karke laye jate hain
Ihaata sa kiye rakhta hai jaan ko noor ka haala
Duroode paak ke anwaar jaan par chhaye jate hain
Daraati hi nahi hai pul sirat hashar ki wahshat
Jo tere hain, teri rehmat ke saaye saaye jate hain
Khataaron ko bhi mehroom-e-rehmat woh nahi rakhte
Guna gaaron pe bhi paheim karam farmaaye jate hain
Hai lutf-e-khaas un ki rehmat-lil aalameeni ka
Madine mein hum aise ruswaah bhi paye jate hain
Haram mein hai rayaz, Allah-o-Akbar! kya muqaddar hai
Karam ka soch kar aankhon mein aansu aaye jate hain