Go Hoon Yake Az Naghama Sarayaan-e-Muhammad ﷺ
Go Hoon Yake Az Naghama Sarayaan-e-muhammad ﷺ
Go hoon yake az naghama sarayaan-e-Muhammad ﷺ
Shayad ke meri lay nahin shayaan-e-Muhammad ﷺ
Hai paas-e-adab shart-e-nukhustin-e-mohabbat
Bad mast nah hoon zamzamah sanjaan-e-Muhammad ﷺ
Jo bhi hai tajalli kahin phooti hai yahi se
Hai matla-e-har mehr, garybaan-e-Muhammad ﷺ
Zulmat kada-e-dahr mein lo deti rahe gi
Taa subh-e-abad sham'a-e-faroozan-e-Muhammad ﷺ
Sooraj ki tarah yeh bhi daleel aap hai apni
Muhtaj-e-nazaair nahin burhaan-e-Muhammad ﷺ
Deen us ki sadaqat ki to munkir bhi gawahi
Hai masal-e-haram hurmat-e-paimaan-e-Muhammad ﷺ
Aaina-e-Iskandar o paimana-e-Jamshid
Har sang rahe aabala payaan-e-Muhammad ﷺ
Jaane ke na jaane koi maane ke na maane
Har daur hai bahra war-e-fayzan-e-Muhammad ﷺ
Iqraar se mumkin hai ke maani' ho ta'asub
Har qaum pe hai beesh o kam ehsaan-e-Muhammad ﷺ
Zahir bhi naha'n bhi sifat-e-lafz o ma'aani
Idraak-e-bashar se waraa shaan-e-Muhammad ﷺ
Khaki bhi hai noori bhi paimbar bhi bashar bhi
Hai bhi kahin ya Rab hadd-e-imkaan-e-Muhammad ﷺ
Taa hashr dar o dasht ko mehkati rahe gi
Khushboo-e-gul-e-sumbul o reehan-e-Muhammad ﷺ
Mustaqbil-e-tehzeeb hai makhdush, nah jab tak
Dastoor-e-zamana bane Qur'an-e-Muhammad ﷺ
Hum fard hain jis millat-e-baizaa ke usay bhi
Haasil nahin haasil nahin irfaan-e-Muhammad ﷺ
Taweel-e-ahadees ka aata ho jisay ilm
Aisa nah mila koi zabaan daan-e-Muhammad ﷺ
Dil khoob samajhta hai mohabbat ke taqaazay
Har kasb-e-kamaal iska hai qurbaan-e-Muhammad ﷺ
Kya janiye kis baat pe duniya ko gumaan hai
Khalid bhi hai manjumla-e-khasaan-e-Muhammad ﷺ