Gham Ho Gaye Be Shumar Aaqa
Gham Ho Gaye Be Shumar Aaqa
Gham ho gaye be shumar aaqa
Banda tere nisar aaqa
Bigda jata hai khel mera
Aaqa aaqa sanwaar aaqa
Manjdhaar pe aake nau tooti
De haath ke hoon main paar aaqa
Tooti jati hai peeth meri
Lillah yeh bojh utaar aaqa
Halka hai agar hamara palla
Bhaari hai tera waqar aaqa
Majboor hain hum to fikr kya hai
Tum ko to hai ikhtiyar aaqa
Main door hoon tum to ho mere paas
Sun lo meri pukar aaqa
Mujh sa koi ghmazda na hoga
Tum sa nahi gham gusaar aaqa
Gardaab mein par gayi hai kashti
Dooba dooba, utaar aaqa
Tum woh ke karam ko naaz tum se
Main woh ke badi ko aar aaqa
Phir munh na pade kabhi khizan ka
De de aisi bahaar aaqa
Jis ki marzi Khuda na taale
Mera hai woh naamdaar aaqa
Hai mulk-e-Khuda pe jiska qabza
Mera hai woh kaamgaar aaqa
Soya kiye naabkaar banday
Roya kiye zaar zaar aaqa
Kya bhool hai unke hote kehlain
Duniya ke yeh taajdaar aaqa
Un ke adni gada pe mit jaayein
Aise aise hazaar aaqa
Be abar-e-karam ke mere dhabbe
La taghsiluh al-bihaar aaqa
Itni rehmat Raza pe kar lo
La yaqrbuhu al-bawaar aaqa