Kalams Page

Gar Waqt Aa Para Hai Mayoos Kyu Khara Hai

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Hamad

Gar Waqt Aa Para Hai Mayoos Kyu Khara Hai


Gar waqt aa para hai mayoos kyu khara hai
Allah bohat bara hai Allah bohat bara hai

Mana ke zulmatoon ke har simt hain basiray
Lekin kabhi to hon ge insaaf ke sawiray
Mehkain ge ghunche gul phul chehkay gi koi bulbul
Halaat ki sada hai Allah bohat bara hai

Sanglaakh wadiyon mein wo dekh gar nazar hai
Chhuri talay bhi sar hai ik khwab ka asar hai
Chhuri nahi chali jo gardan nahi kati kyu
Kis ka hukm chala hai Allah bohat bara hai

Kabar jabar ke but ye jo samnay kharay hain
Pani ke bulbulay hain bas naam ke baray hain
Ik kun ki maar hain ye jitne ganwar hain
Tareekhi silsila hai Allah bohat bara hai

Ye khoon bekasoon ka jaye ga raigan na
Hum dekhain ya na dekhain dekhe ga ye zamana
Uthay gi koi chingari aaye gi inki bari
Qudrat ka faisla hai Allah bohat bara hai

In aandhiyon ka jhakhar jitna bhi yaan chalay ga
Islam ka nashiman qatan bhi na mitay ga
Haq ka alam kabhi bhi batil se na jhukay ga
Tareekh bhi gawah hai Allah bohat bara hai

Jeelain sitamgaron ki aur shaatiron ki chalayin
Aisa na ho sakay ga maqsad apna paa lain
Dushman ke saray harbay emaan ko aazma lain
Haq to data hua hai Allah bohat bara hai