Falsafi! Tujh Ko Abas Dhun Hai Usay Panay Ki
Falsafi! Tujh Ko Abas Dhun Hai Usay Panay Ki
Falsafi! Tujh ko abas dhun hai usay panay ki
Ho chuka jab ke teri aql ka sultan, mazool
Deedah-e-aql se dekh us ko na mard-e-nadan!
Ke dalail se ulajhna hai khird ka mamool
Aql to apni haqeeqat se bhi nawakif hai
Kya samajh paye usay, jo ke hai mafooq-e-aqool
Dai'e mashrab-e-tauheed zara ghor se sun
Shayad aa jaye tujhe raas ye harf-e-maqool
Sirf tauheed ka shaitaan bhi qa'il hai, magar
Shart-e-eeman hai Muhammad (S.A.W) ki itaat, ye na bhool
Amr-e-lazim hai ye har mard-e-musliman ke liye
Izzat-e-Aal (R.A), Hurmat-e-atbaa-e-rasool (S.A.W)
Saaf baatin hai to bhej un pe durood aur salaam
Warna main chhairun ga phir zikr-e-ubi ibn-e-sulool
Garmi-e-ishq-e-bilal-e-habshi (R.A) paida kar
Ke bane seena tera mahabat anwaar-e-rasool (S.A.W)