Falak Ke Nazaro Zameen Ki Baharo, Sab Eedein Manao Huzoor Aa Gaye Hain
Falak Ke Nazaro Zameen Ki Baharo, Sab Eedein Manao Huzoor Aa Gaye Hain
Falak ke nazaro zameen ki baharo, sab eedein manao Huzoor aa gaye hain
Utho be saharo chalo gham ke marro khabar ye sunao Huzoor aa gaye hain
Anokha nirala wo zaishan aaya wo saare rasoolon ka Sultan aaya
Are kaj kalaho are badshaho nigahain jhukao Huzoor aa gaye hain
Hawa chaar su rehmaton ka basera ujala ujala subah subah
Haleema ko pohanchi khabar Amina ki mere ghar mein aao Huzoor aa gaye hain
Hawao mein jazbaat hain marhaba ke fizaon mein naghmaat sallallahu alayh ke
Duroodon ke kajre salaamon ke tohfe ghulamo sajao Huzoor aa gaye hain
Kahan mein Zahoori kahan un ki baatein karam hi karam hai ye din aur raatein
Jahan par bhi jao dilon ko jagao yehi kehte jao Huzoor aa gaye hain