Faiz Un Ke Aam Hogaye
Faiz Un Ke Aam Hogaye
Faiz un ke aam hogaye
Do jahan ghulaam hogaye
Un ke jo ghulaam hogaye
Waqt ke imam hogaye
Naam liwa un ke jo huye
Un ke oonche naam hogaye
Wasta diya jo aap ka
Mere saare kaam hogaye
Farsh se woh ja ke arsh par
Rab se hum kalaam hogaye
Jab bulaya aaqa ne
Khud hi intizam hogaye
Mustafa ki shaan dekh kar
Badshah ghulaam hogaye
Muqtadi hain saare anbiyah
Mustafa imam hogaye
Madh khan hain aap ke khawaas
Naat khwan awaam hogaye
Saf ba saf khade hain sab shaheed
Aur Husain imam hogaye
Waqf-e-naat khwani ae Riaz
Mere subah o shaam hogaye