Ek Baar Phir Madinay Attar Ja Rahe Hain
Ek Baar Phir Madinay Attar Ja Rahe Hain
Ek baar phir Madinay Attarؔ ja rahe hain
Aaqa Madinay walay dar par bula rahe hain
Qismat ko is tasavvur se Wajd aarahay hain
Rahmat ki bheek daynay Aaqa bula rahe hain
Woh faiz ka khazana har dam lata rahe hain
Anwar har taraf hi Tayyaba mein chha rahe hain
Jo koi un kay gham mein aansu baha rahe hain
Jeenay ka lutf aise ush-shaaq pa rahe hain
Jis dam Madinay aayein rawein pichharain khayein
Hum maang tum se Aaqa aise ada rahe hain
Husn-e-amal hamaray pale mein kuch nahi hai
Aahoon ki aansoo’on ki soghat la rahe hain
Manzar hai rooh parwar roze ki jaliyon par
Ush-shaaq aansoo’on ke moti lata rahe hain
Aaqa bahi’n yeh aankhein bas aap hi ke gham mein
Haye humein zamanay ke gham rula rahe hain
Izn-e-Khuda se ho tum Mukhtar-e-har do alam
Dono jahaan tumhari khairat kha rahe hain
Dastoor hai ke jis ka khana usi ka gana
Hum jis ka khaa rahe hain geet us ke gaa rahe hain
Maskan banay Madinah madfan banay Madinah
Ahmed Raza ka tum ko day waqta rahe hain
Aaqa! bulao un ko bay chain muztarib jo
Dil ko jala rahe hain aansu baha rahe hain
Jin ka na bhao koi duniya mein poochta ho
Seene se un ko Aaqa apne laga rahe hain
Ummat ke haal se hain aagah har ghari aap
Khwaabon mein aarahay hain bigri bana rahe hain
Dunya ke gham ne maara Lillah do sahara
Sarkar thokrain hum dar dar ki khaa rahe hain
Ab ghir chuki hai Aaqa toofan mein apni nayya
Ae naakhuda sahara maang aap ka rahe hain
Aaqa Huzoor-e-Anwar! nazar-e-karam ho hum par
Abr-e-siah dil par isyaan ke chha rahe hain
Chashm-e-karam ho jaana sue gunnahgaraan
Sarkar! nafs o shaitaan har dam daba rahe hain
Un sab muballighon ke khwaabon mein ab karam ho
Aaqa jo sunnaton ki khidmat bajaa rahe hain
Parwardigar-e-aali day jazba-e-Ghazali
Kar hum ko khush khisali kar yeh dua rahe hain
Bimaari-e-gunah se hum ko shifa day ya Rabb
Ban jaayein naek hum sab kar iltija rahe hain
Dolat ki hirs dil se Allah door kar day
Ishq-e-Rasool day day kar yeh dua rahe hain
Takhtir-e-maal o zar ki hargiz nahi tamannaa
Hum maang aap se bas gham aap ka rahe hain
Rukhsat ki ab ghari hai sar par ajal khari hai
Aajao ab khudara hum jaan se ja rahe hain
Ab lahd mein azizo! jaldi utaar bhi do
Aha! woh muskuratay tashreef la rahe hain
Faryad jaan-e-alam! koi nahi hai humdam
Sue Saqar farishte ab lay ke ja rahe hain
Qurban roz-e-mahshar daaman ka parda dhak kar
Aiboon ko mere sarwar khud hi chhupa rahe hain
Mahshar mein banda parwar lutf o karam ke paikar
Bhar bhar ke jaam-e-Kausar hum ko pila rahe hain
Sadqay mein Murtaza ke soz-e-Bilal day do
Yeh arz lay kar Aaqa Attarؔ aa rahe hain
Un ke karam ke sadqay! fazl o karam pe qurban
Attarؔ ko woh lay kar jannat mein ja rahe hain