Kalams Page

Duniya Nahi Deti To Na De Saath Hamara

Poet: Habib Jalib | Book: Unknown | Type: Naat

Duniya Nahi Deti To Na De Saath Hamara


Duniya nahi deti to na de saath hamara
Hum ko bohot Shah-e-Arab tera sahara

Har cheez badal jaye tera paa ke ishaara
Kya gardish-e-aflaak hai, kya waqt ka dhaara

Har simt tha phela hua, toofan-e-tabahi
Inssan ki kashti ko mila, tujh se kinaara

Phir aap ki janib hain zamane ki nigahen
Phir ek nazar hasil konain khudara

Jalib ko yaqeen hai ke teri chashm-e-karam se
Chamke ga ghareebon ke muqaddar ka sitara