Kalams Page

Duniya Hai Aik Dasht To Gulzaar Aap Hain

Poet: Ahmed Nadeem Qasmi | Book: Unknown | Type: Naat

Duniya Hai Aik Dasht To Gulzaar Aap Hain


Duniya hai aik dasht to gulzaar aap hain
Is teeragi mein matla-e-anwaar aap hain

Yeh bhi hai sach ke aap ki guftaar hai jameel
Yeh bhi hai haq ke saahib-e-kirdaar aap hain

Ho laakh aaftaab-e-qiyamat ki dhoop taiz
Mere liye to saaya-e-deewaar aap hain

Mujh ko kisi se haajat-e-chaara-gari nahi
Har gham mujhe azeez ke gham-khwaar aap hain

Insaan maal o zar ke junoon mein hai mubtala
Is hashr mein nadeem ko darkaar aap hain