Kalams Page

Diloon Ki Teh Mein Posheeda Mohabbat Dekhne Wala

Poet: Hafeez Taib | Book: Kuliyat-e-Hafeez Taib | Type: Naat

Diloon Ki Teh Mein Posheeda Mohabbat Dekhne Wala


Diloon ki teh mein posheeda mohabbat dekhne wala
Woh Mahboob-e-Khuda jazbon ki wusat dekhne wala

Wohi hai sunne wala an kahe alfaaz chahat ke
Wohi hai an likhe harf-e-iradat dekhne wala

Hua hai kon juz Mola-e-Salman o Bilal ab tak
Bajaye husn-e-soorat, noor-e-seerat dekhne wala

Makan o la-makaan ki shaukaten zeere qadam us ke
Woh maujood o adam ki har wilayat dekhne wala

Na jhapki aankh jis ki roo-baroo-e-jalwa bari
Sar-e-Qausain zaat-e-Rabb-e-Izzat dekhne wala

Shebistan-e-Hira kyun kar na banta markaz-e-irfan
Ke hai pehle pehal noor-e-nubuwat dekhne wala

Rasool Allah ki ulfat se har dil mein ujala hai
Zamane mein hai ye rang-e-aqeedat dekhne wala