Kalams Page

Dilon Ke Gulshan Mehak Rahe Hain Yeh Kaif Kyun Aaj Aa Rahe Hain

Poet: Abdul Sattar Niazi | Book: Kuliyat-e-Niazi | Type: Naat

Dilon Ke Gulshan Mehak Rahe Hain Yeh Kaif Kyun Aaj Aa Rahe Hain


Dilon ke gulshan mehak rahe hain yeh kaif kyun aaj aa rahe hain
Kuch aisa mehsoos ho raha hai Huzoor tashreef la rahe hain

Nawazishon par nawazishen hain inayaton par inayaten hain
Nabi ki naaten suna suna kar hum apni qismat jaga rahe hain

Kahin pe ronak hai muflisun ki kahin pe ronak hai dil jalun ki
Hum kitne khush bakht hain jo Nabi ki mehfil saja rahe hain

Na paas pi ho to sona sawan wo jis pe raazi suhagan
Jinhon ne pakra Nabi ka daaman inhi ke ghar jagmaga rahe hain

Kahan ka mansab kahan ki dolat kasam Khuda ki yeh hai haqeeqat
Jinhain bulaya hai Mustafa ne wohi Madine ko ja rahe hain

Main apne Khair ul-Wara ke sadqe mein unki shan ata ke sadqe
Bhara hai aibon se mera daaman Huzoor phir bhi nibha rahe hain

Banega jane ka phir bahana kahega aakar koi deewana
Chalo Niazi tumhein Madine Madine wale bula rahe hain