Dilon Ka Shauq, Ruhon Ka Taqaza Gunbad-e-khazra
Dilon Ka Shauq, Ruhon Ka Taqaza Gunbad-e-khazra
Dilon ka shauq, ruhon ka taqaza gunbad-e-khazra
Zamane ke nigahon ka ujala gunbad-e-khazra
Gulistan-e-jahan mein zindagi parwar bahar is ki
Sar-e-afaq lehrata sawera gunbad-e-khazra
Jo rang o bu ki duniya sar zameen-e-shehr-e-tayyaba hai
To khald-e-chashm o firdous-e-tamanna gunbad-e-khazra
Falah o kamrani ki basharat ahl e imaan ko
Gunehgaron ko rehmat ka ishara gunbad-e-khazra
Habib-e-kibriya saaye mein is ke mehwar-e-rahat hain
Do aalam mein isi bais hai yakta gunbad-e-khazra
Khuda ka shukar Taib ki nigahon ne bhi dekha hai
Woh har seene ke andar basne wala gunbad-e-khazra