Kalams Page

Dhuthuk Rahi Hai Zindagi Diloan Main Iztirab Hai

Poet: Mohsin Naqvi | Book: Haq Ailya | Type: Manqabat

Dhuthuk Rahi Hai Zindagi Diloan Main Iztirab Hai


Dhuthuk rahi hai zindagi diloan main iztirab hai
Khala bhi hai saja saja faza bhi lajawab hai
Zubaan pe maujzan tarana-e-shabab hai
Haram ki sarzameen par ajeeb inqilab hai
Khuda ke ghar main dosto, wrud-e-Butrab hai

Bikhar rahe hain dairay jamal-e-zuljalal ke
Jalay to jal ke bujh gaye adu Nabi ki Aal ke
Malang keh rahe hain phir dhamal dal dal ke
Mitti mitti hain zulmaten, tulu-e-aftab hai
Khuda ke ghar main dosto wrud-e-Butrab hai

Ruki hui hain nabz-e-bahrobar ki sub rawanian
Zubaan zubaan pe inama ki dilnashain kahaniyan
Har aik so rawan doan khuda ki mehrbanian
Har aik rukh hai aaeena ghazab ki aab o taab hai
Khuda ke ghar main dosto wrud-e-Butrab hai

Yahan wahan idhar udhar jali jali ki dhoom hai
Chaman chaman, kali kali, wali wali ki dhoom hai
Nagar nagar gali gali, Ali Ali ki dhoom hai
Yahi sada-e-dilnashain hamara intikhab hai
Khuda ke ghar main dosto wrud-e-Butrab hai