Kalams Page

Dar Paish Ho Tayba Ka Safar Kaisa Lage Ga

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Dar Paish Ho Tayba Ka Safar Kaisa Lage Ga


Dar paish ho Tayba ka safar kaisa lage ga
Guzray jo wahan shaam o seher kaisa lage ga

Ae kaash Madinay mein mujhe maut yun aaye
Qadmon mein ho Sarkar kesar kaisa lage ga

Ae pyare Khuda dekhun mein Sarkar ka jalwa
Mil jaaye dua ko jo asar kaisa lage ga

Jab dor se hai itna haseen Gumbad-e-Khazra
Us paar yeh aalam hai idhar kaisa lage ga

Tayba ki sa'adat to yun paatay hain hazaron
Murshid ka saath ho jo safar kaisa lage ga

Aajayein mere ghar mein agar Rahmat-e-Aalam
Mein kaisa lagun ga mera ghar kaisa lage ga

Paai hai Munawwar ne qaza dar pe Nabi ke
Aajaye watan mein yeh khabar kaisa lage ga