Kalams Page

Dar-e-Nabi Se Hai Waabasta Nisbatain Apni

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Dar-e-Nabi Se Hai Waabasta Nisbatain Apni


dar-e-Nabi se hai waabasta nisbatain apni
isi liye hain bulandi pe qismatain apni

inhi ka zikar apni najat ka samaan
inhi ke naam se qaim hain izzatain apni

mere Huzoor ki nazron mein jo bhi aajaye
Khuda bhi us pe hi karta hai rahmatain apni

Nabi ka jo na hua wo hamara kuch bhi nahi
faqat ghulam-e-Nabi se hain ulfatain apni

mere Karim mere haal-e-dil se waqif hain
main kyun kahoon ga kisi se zaruratain apni