Dar-e-Nabi Par Pohanch Gaya Hoon
Dar-e-Nabi Par Pohanch Gaya Hoon
dar-e-nabi par pohanch gaya hoon
yaqeen haawi sa hai gumaan par
zameen par hoon ke aasman par
main hoon nahi hoon jo hoon to kya hoon
dar-e-nabi par pohanch gaya hoon
na rang naam-o-namood mera
na saaya hast-o-bood mera
khunak khunak noor Mustafa hai
pighal raha hai wujood mera
jamaal sarkaar zaufasha hai
nigah mein darmayaan kahan hai
saraapa aankhein bana hua hoon
dar-e-nabi par pohanch gaya hoon
ye deed miraaj hai nazar ki
yahi kamai hai umr bhar ki
raees layl-o-nahaar tehra
talab ho kya mujh ko maal-o-zar ki
sha'oor irfaan-o-aagahi se
khazana jalwa-e-nabi se
tajoriyon ki tarah bhara hoon
dar-e-nabi par pohanch gaya hoon
hayaath ko jis ki dhun rahi hai
woh qurb ke phool chun rahi hai
salaam ka bhi jawab goya
samaat 'ishq sun rahi hai
ab aur kya maangna hai Rab se
ke hath bandhaye hue adab se
huzoor ke saamne khara hoon
dar-e-nabi par pohanch gaya hoon
ye roz-e-shah-e-anbiya hai
ke kursi-o-'arsh-e-kibriya hai
bandha hai darbariyon ka taanta
ajeeb andaaz-e-takhliya hai
baghair ijaazat ho baariyabi
siyaahi dil ho aaftaabi
main zang khorda chamak utha hoon
dar-e-nabi par pohanch gaya hoon