Kalams Page

Dar-e-Nabiﷺ Par Para Rahunga Pare Hi Rehne Se Kam Hoga

Poet: Kaif Tonki | Book: Unknown | Type: Naat

Dar-e-nabiﷺ Par Para Rahunga Pare Hi Rehne Se Kam Hoga


Dar-e-Nabiﷺ par para rahunga pare hi rehne se kam hoga
Kabhi to qismat khule gi meri kabhi to mera salam hoga

Khilaf-e-Ma'shuq kuch hua hai na koi 'ashiq se kam hoga
Khuda bhi hoga udhar hi ae dil jidhar wo aala maqam hoga

Kiaye hi jaon ga arz-e-matlab mile ga jab tak na dil ka matlab
Na shaam-e-matlab ki subah hogi na ye fasana tamam hoga

Jo dil se hai mail-e-paimbar ye us ki pehchan hai muqarrar
Ke har dam us baynawa ke lab par darood hoga salam hoga

Isi tawaqqo pe jee raha hoon yehi tamanna jila rahi hai
Nigah-e-lutf-o-karam na hogi to mujh ko jeena haram hoga

Hui jo Kauthar pe baryabi to kaif ki tere dhaj ye hogi
Baghal mein meena, nazar mein saqi khushi se haathon mein jaam hoga