Dar-e-Nabi Ki Taraf Chala Hoon
Dar-e-Nabi Ki Taraf Chala Hoon
dar-e-nabi ki taraf chala hoon
badan pe chadar hai aansuon ki
lahu mein lazat hai raaston ki
baghair khushbu mehak raha hoon
dar-e-nabi ki taraf chala hoon
sukoon aamez be qarari
hai meri yaksuyion pe taari
chali buraq-e-kashish pe le kar
rasool akram ki gham gusari
rasai hai bakht na-rasa mein
sira hai ik dast-e-mustafa mein
mein dor ka dosra sira hoon
dar-e-nabi ki taraf chala hoon
tawaaf ka’bi tha farz mujh par
dar-e-nabi ka hai qarz mujh par
simit ke saaya fagan hua hai
jahan ka tool o arz mujh par
shareek raftaar jo rahe hain
woh faasle khatam ho rahe hain
mein aaj se apni ibtida hoon
dar-e-nabi ki taraf chala hoon
dikhai dene laga Madina
misaal-e-dar khul raha hai seena
hawaaein huron ke lams jaisi
fazaaien khuld bareen ka zeena
khule hue bazuon si raahen
har ek musaafir ko itna chahen
ke un ki chahat pe mar mita hoon
dar-e-nabi ki taraf chala hoon
ye sa’at qeemati bhi aai
ke haazri ko chali judaai
dharak rahe hain hawaas-e-khamsa
laraz rahi hai barhna paa’i
behesht-e-aalam hai ye ilaqa
qadam qadam naqsh-e-paye aaqa
zameen ke sheeshe mein dekhta hoon
dar-e-nabi ki taraf chala hoon