Kalams Page

Chalo Diyar-e-Nabi (ﷺ) Ki Janib Darood Lab Par Saja Sajakar

Poet: Khalid Mahmood Khalid | Book: Qadam Qadam Sajday | Type: Naat

Chalo Diyar-e-Nabi (ﷺ) Ki Janib Darood Lab Par Saja Sajakar


Chalo diyar-e-Nabi (ﷺ) ki janib darood lab par saja sajakar
Bahaar lautain ge hum karam ki dilon ko daaman bana banakar

Na unke jaisa sakhi hai koi na unke jaisa ghani hai koi
Woh be nawaon ko har jagah se nawaz te hain bula bula kar

Jo shahkar unki yaad ke hain amanatan ishq ne diye hain
Charagh-e-manzil banein ge ek din rakho woh aansu bacha bacha kar

Humari saari zaruraton par kafalaton ki nazar hai unki
Woh jholiyan bhr rhae hain sab ki karam ke moti luta luta kar

Woh rahein ab tak saji hui hain dilon ka kaaba bani hui hain
Jahan jahan se Huzoor (ﷺ) guzre hain naqsh apna joma joma kar

Kabhi jo mere ghareeb khanay ki aap aakar jagayen qismat
Main khair maqdam ke geet gaaon ga apni palkain bicha bicha kar

Tumhari nisbat ke hain tasadduq asas-e-azmat hai yeh talluq
Ke Anbiyaa (ﷺ) sir kharu hue hain sir iataat jhuka jhuka kar

Hai unko ummat se pyaar kitna karam hai rehmat shiir kitna
Humare jurmon ko dho rhe hain Huzoor (ﷺ) aansu baha baha kar

Main aisa aasi hoon jisko jholi mein koi haseen amal nahi hai
Magar woh ahsaan kar rhe hain khatayein meri chhupa chhupa kar

Yahi asas-e-amal hai meri iss se bigri bani hai meri
Samet ta hoon karam Khuda ka Nabi (ﷺ) ki naatein suna suna kar

Woh aaina hai rukh-e-Muhammad (ﷺ) ke jiska johar jamal-e-Rab hai
Main dekh leta hoon sare jalwe tasawwur unka joma joma kar

Kabhi to barse ga abr-e-hemat kabhi to jage gi meri qismat
Kuch ashq tayar kar raha hoon main soze ulfat badha badha kar

Main tere qurbaan mere saaqi rahe na arman koi baaqi,
Mujhe muhabbat ka hausla de nazar se apni pila pila kar

Mitane wale hi mit gaye hain ke tere saaye mein pal rahe hain
Yeh tajurba kar chuki hai duniya humein ab tak mita mita kar

Agar muqaddar ne yaawari ki agar Madine gaya main Khalid
Qadam qadam khaak us gali ki main choom loon ga utha utha kar