Bulawa Dobara Phr Ik Bar Aaye
Bulawa Dobara Phr Ik Bar Aaye
Bulawa dobara phr ik bar aaye
Madinay me aqa! gunahgar aaye
Mire ashk behne lagein kaash us dam
Nazar jon hi tayyiba ka gulzar aaye
Dil-e-muztarib ki barhe baqarari
Tadap kar girun jon hi darbar aaye
Nazar me nahi koi jachta gulistan
Pasand is ko sahraye sarkar aaye
Hai apni jagah husn phoolon ka lekin
Pasand is ko tayyiba hi ka khaar aaye
Mahal-lat oonche nahi chahhta mein
Madinay ka qismat me kuhsar aaye
Aqeedat se sar jhuk gaya us ghari jab
Nazar sabz gunbad ke anwar aaye
Tire sabz gunbad pe jaye woh qurban
Madinay mein jo koi ikbar aaye
Tumhari shafat ka haqdaar thehre
Jo darbar mein bakht bedar aaye
Tire hi karam se hamara bharam hai
Gunahon ka sar par liye bar aaye
Ata ho sanad maghfirat ki ata ho
Tire dar pe tire gunahgar aaye
Idhar bhi masiha nigah-e-shifa ho
Tire dar pe isyan ke bemar aaye
Gunahon ki kasrat se ghabra gaye jab
Woh mahshar mein sue gunahgar aaye
Hui qabr roshan hamari usi dam
Liye jab woh chehra chamakdar aaye
Paye peer o murshid humein apna kehdo
Ye hum aarzu le ke darbar aaye
Shaha tujh se tujh hi ko maangein ge hum to
Tire dar pe jis roz sarkar aaye
Dawa har marz ki hai khaak-e-madina
Shifa paye dar par jo bemar aaye
Sar-e-hashr daman mein lain ge use jo
Nadamat se rota gunahgar aaye
Tire ishq mein aisa ho jaun bekhud
Kabhi hosh mujh ko na sarkar aaye
Ishara mile kaash! Jannat ka foran
Sar-e-hashr jis dam ye badkar aaye
Nigaah-e-karam ho karam jan-e-alam
Dil-e-gham zada le ke ghamkhar aaye
Sada sunnatain aam karta rahu mein
Isi haal mein maut sarkar aaye
Paye shah-e-karb o bala maut mujh ko
Madinay ki galiyon mein sarkar aaye
Sab islami behnon ko parda ata ho
Na paas in ke iblees-e-ayyar aaye
Sab islami bhai bhi fashion se bhaagein
Shaha! Sunnatain par inhein pyaar aaye
Bulalo madinay mein shah-e-madina
Tadapta hua kaash! Badkar aaye
Tire gham mein behaal ho jaye aqa
Palt ke jo tayyiba se Attar aaye