Bula Lo Phir Mujhe Ae Shah-e-behar-o-bar Madine Mein
Bula Lo Phir Mujhe Ae Shah-e-behar-o-bar Madine Mein
Bula lo phir mujhe ae Shah-e-Behar-o-Bar madine mein
Mein phir rota hua aaon tire dar par madine mein
Mein pohnchun koe jaanan mein girebaan chaak seenah chaak
Gira de kaash mujh ko shauq tarrpa kar madine mein
Madine jane walo jao jao fi amanullah
Kabhi to apna bhi lag jaye ga bastar madine mein
Salam-e-shauq kehna haji yo mera bhi ro ro kar
Tumhein aaye nazar jab rooza-e-anwar madine mein
Paigham-e-shauq lete jao mera qaaflay walo
Sunana daastan-e-gham meri ro kar madine mein
Mera gham bhi to dekho mein para hoon door Tayyaba se
Sukoon paaye ga bas mera dil-e-muztar madine mein
Na ho mayoos deewano pukare jao tum un ko
Bulayen ge tumhein bhi aik din sarwar madine mein
Bula lo hum gareebon ko bula lo ya Rasool Allah
Paaye Shabbir o Shabbar Fatima Haider madine mein
Khudaya wastah deta hoon mere Ghous-e-Azam ka
Dikha de sabz gumbad ka haseen manzar madine mein
Waseela tujh ko Bobakr o Umar, Usman o Haider ka
Ilahi tu ata kar de humein bhi ghar madine mein
Madine jab mein pohnchun kaash aisa kaif taari ho
Ke rote rote gir jaon mein ghash khakar madine mein
Niqab-e-ru khula jaye tera jalwa nazar aaye
Jab aaye kaash! tera saail-e-bepar madine mein
Jo teri deed ho jaye to meri eid ho jaye
Gham apna de mujhe eidi mein bulwa kar madine mein
Madine jon hi pohncha ashk jari ho gaye mere
Dum-e-rukhsat bhi roya hichkian bhar kar madine mein
Madine ki judaai ashiqon par shaq hoti hai
Woh rote hain tarrap kar hichkian bhar kar madine mein
Kahin bhi soz hai duniya ke gulzaron mein baghon mein?
Fiza purkaif hai lo dekh lo aakar madine mein
Wahan ek saans mil jaye yehi hai zeest ka haasil
Woh qismat ka dhanee hai jo gaya dam bhar madine mein
Madina Jannat-ul-Firdaus se bhi awla o aala
Rasool-e-Pak ka hai Roz-e-Anwar madine mein
Chalo chaukhat pe un ki rakh ke sarqurban ho jayein
Hayat-e-jawedani paain ge mer kar madine mein
Madina mera seenah ho mera seenah madina ho
Madina dil ke ander ho dil-e-muztar madine mein
Mujhe neki ki dawat ke liye rakho jahan bhi kaash!
Mein khwabon mein pohnchta hi rahun aksar madine mein
Na daulat de na sarwat de mujhe bas yeh sa’adat de
Tere qadmom mein mar jaon mein ro ro kar madine mein
Ata kar do ata kar do Baki’a-Pak mein madfun
Meri ban jaye turbat ya Shah-e-Kausar madine mein
Madina is liye Attar jaan-o-dil se hai piara
Ke rehte hain mere Aaqa mere sarwar madine mein