Biyan Kyun Kar Sanaye Mustafa Ho
Biyan Kyun Kar Sanaye Mustafa Ho
Biyan kyun kar sanaye Mustafa ho
Khuda jab un ka khud midhat sara ho
Madine ki mohabbat mein jo roye
Ata woh aankh meethe Mustafa ho
Salam-e-shauq kehdena adab se
Guzar sue Madina jab saba ho
Tadap kar ya Rasul Allah pukaro
Nahin mumkin na aqa ne suna ho
Ata kar do mujhe woh bheek data
Mere sare qabeelay ka bhala ho
Karun be louse khidmat sunnaton ki
Shaha gar lutf mujh par aap ka ho
De jazba "Madni In`amaat" ka tu
Karam ya Syed har do sara ho
Main Madni qafilon hi ka musafir
Rahun aksar karam aisa shaha ho
Karam ho dawat-e-Islami par ye
Shareek is mein har ik chota bara ho
Main sab dolat rah-e-haq mein luta doon
Shaha aisa mujhe jazba ata ho
Gunahon ne kahin ka bhi na chhoda
Karam mujh par Habib-e-Kibriya ho
Gunahon ki chhute har aik adat
Sudhar jaon karam ya Mustafa ho
Kati hai gafilaton mein zindagani
Na jane hashar mein kya faisla ho
Karam ho wasita kul auliya ka
Mera eemaan pe Moula khatima ho
Mere aamal tole ja rahe hain
Shafaat shafi-e-roz-e-jaza ho
Ilahi hoon bahut kamzor banda
Na duniya mein na uqba mein saza ho
Beroz-e-Hashr aqa kaash! keh dein
Tum ae Attar dozak se riha ho