Kalams Page

Bhardo Jholi Meri Ya Muhammad (Saw) Loot Kar Mein Na Jaoonga Khaali

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Bhardo Jholi Meri Ya Muhammad (Saw) Loot Kar Mein Na Jaoonga Khaali


bhardo jholi meri ya Muhammad (SAW) loot kar mein na jaoonga khaali
kuch nawaso ka sadqa ata ho dar pe aaya hoon ban kar sawaali

haq se payi woh shan-e-kareemi marhaba dono aalam ke wali
us ki qismat ka chamka sitaara jis pe nazar karam tum ne daali

zindagi bakhsh di bandagi ko aabru deen-e-haq ki bacha li
woh Muhammad (SAW) ka pyara nawasa jis ne sajde mein gardan katali

hashr mein unko dekhenge Jasdam ummati ye kahenge khushi se
aa rahe hain woh dekho Muhammad (SAW) jin ke kandhe pe kamli hai kaali

aashiq Mustafa ki azaan mein Allah Allah kitna asar tha
arsh wale bhi sunte the jis ko kya azaan thi azaan-e-bilaali

kaash parnum diyar nabi mein jeete ji ho bulaawa kisi din
haal gham Mustafa ko sunaaoon thaam kar un ke rozay ki jaali