Be Khud Kiye Dete Hain Andaaz-e-Hijabana
Be Khud Kiye Dete Hain Andaaz-e-Hijabana
Be khud kiye dete hain andaaz-e-hijabana
Aa dil mein tujhe rakh lun ae jalwa-e-janana
Itna to karam karna ae chashm-e-karimana
Jab jaan labon par ho tum samne aa jana
Kyun aankh milai thi kyun aag lagai thi
Ab rukh ko chhupa baithe karke mujhe deewana
Zahid mere qismat mein sajde hain isi dar ke
Chhota hai na chhotega sang-e-dar jananan
Kya lutf ho mahshar mein main shikwe kiye jaun
Woh hans ke kahe jayein deewana hai deewana
Saqi tere aate hi yeh josh hai masti ka
Shene par gira sheesha paimane pe paimana
Maloom nahi baydham main kaun hoon aur kya hoon
Yun apnon mein apna hoon beganon mein begana