Kalams Page

Be Kas Pe Karam Kijiye, Sarkar-e-Madina

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Be Kas Pe Karam Kijiye, Sarkar-e-Madina


Be kas pe karam kijiye, Sarkar-e-Madina
Gardish mein hai taqdeer, bhanwar mein hai safeena
Hai waqt madad, aaiye bigri ko banane
Posheeda nahin aap se kuch dil ke fasane
Zakhamon se bhara hai kisi majboor ka seena
Be kas pe karam kijiye, Sarkar-e-Madina

Chhayi hai museebat ki ghataa gesuon wale
Allah meri doobti kishti ko bacha le
Toofan ke asar hain, dushwar hai jeena
Be kas pe karam kijiye, Sarkar-e-Madina