Kalams Page

Bay Amal Hoon Maray Paas Kuch Bhi Nahi Meri Jholi Mein Ashkon Ki Soghat Hai

Poet: Khalid Mahmood Khalid | Book: Qadam Qadam Sajday | Type: Naat

Bay Amal Hoon Maray Paas Kuch Bhi Nahi Meri Jholi Mein Ashkon Ki Soghat Hai


Bay amal hoon maray paas kuch bhi nahi meri jholi mein ashkon ki soghat hai
Ghaflaton mein kati hai meri zindagi aabroo laaj walay teray hath hai

Ishq ki baykali mera imaan hai dard-e-ishq-e-Nabiؐ ka yeh ehsaan hai
Dhal rahay hain sitaray meri aankh se meri har raat taron bhari raat hai

Samnay ab to surat hai Sarkarؐ ki gir gayi faslon ki jo deewar thi
Mera rabt-e-tasawwur salamat rahay roz khalwat mein un se mulaqat hai

Nisbat-e-Mustafaؐ ka bayan kya karoon mil raha hai mujhe zindagi ka sukoon
Rahaton ki zamaanat hai soz-e-daroon har tamanna pe rehmat ki barsaat hai

Ho raha hai numayan karam aapka kya hoon mein sirf tasveer-e-taufeeq hoon
Aapke zikr ne mujh ko chamka dia warna mein kya hoon kya meri auqaat hai

Zikran ka hai la raib zikr-e-Khuda Mustafaؐ ki ata hai ata-e-Khuda
Unki tareef mein jo kaho hamd hai naat mein aik lutf-e-muna jaat hai

Apne daman mein hum ko chhupain ge wo hashr ki har saza se bachain ge wo
Hum buro ko galay se lagain ge wo Mustafaؐ ki shafaat ki kya baat hai

Do jahan ke wo maalik hain mukhtar hain sab ke monis hain wo sab ke ghamkhaar hain
Un ki sadqay se labraiz hain jholiyan do jahan ka bharam unki khairat hai

Qalb-e-Khalidؔ ko Tayba ki hai aarzoo mere zauq-e-talab ki rahay aabroo
Rehmat-e-Mustafaؐ kar mujhe surkhro mere paon mein zanjeer-e-halat hai