Kalams Page

Bashar Ki Taab Ki Hai Likh Sake Huliya Muhammadﷺ Ka

Poet: Nayyar Hamidi | Book: Unknown | Type: Naat

Bashar Ki Taab Ki Hai Likh Sake Huliya Muhammadﷺ Ka


Bashar ki taab ki hai likh sake huliya Muhammadﷺ ka
Sarapa noor yazdaani hai sar ta pa Muhammadﷺ ka

Hai nawaash azal khud mehwa-e-sar ta pa Muhammadﷺ ka
Yad-e-qudrat se kuch aisa bana naqsha Muhammadﷺ ka

Munaadi ki nida aati thi ye subah-e-wiladat ko
Ke makhlooq-e-Khuda mein sab pe hai qabza Muhammadﷺ ka

Lagao shauq se naara, aghisni ya Rasool Allahﷺ
Magar jaaiz nahi itlaq karna ya Rasool Allahﷺ

Siwaaye lan tarani hazrat Musa ko kya milta
Azal se ho chuka deedaar Rab hissa Muhammadﷺ ka

Kalam Allah mein dekho yad Allah fawq aydihim
Khudaye paak ka farmaan hai shajra Muhammadﷺ ka

Mahinoin mein Rabi-ul-Paak hai eiden se bartarr
Dinon mein jummah se afzal hai do shambah Muhammadﷺ ka

Riyaaz khasta jaan ki ye dua hai raat din tujh se
Ilahi aqibat Mahmood ho sadqa Muhammadﷺ ka

Mujhe Nayar dum-e-mahshar kahin ye dekh kar sare
Ye banda hai Muhammad ka ye hai banda Muhammadﷺ ka