Bas Rahi Hai Fazaon Mein Khushboo
Bas Rahi Hai Fazaon Mein Khushboo
Bas rahi hai fazaon mein khushboo
Phir khanknay lagay hain jaam o sabu !
Soz-e-dil se charagh jalta hāe
Dard e ghrbt kdai mein plta hai
Un ka faiz-e-nazar mila hāe mujhe
Un ki shafqat ka aasra hāe mujhe
Un ki madahath meri majal nahi
Hāe unhi ka, mera kamal nahi
Un ke saaye se pyar karta houn
Jaan un per nisaar karta houn
Jin ki haibat se sar nagoonsamaam
Wohi mola, imam e ali maqam
Wajah-e-irfan e awliya-e-jahan
Zd mein hain jin ki lamakan o makaan
Naam jin ka Ali (AS) , Asadullah
Jin ka chehra bana hāe wajah Allah
Soz o saaz o sukhan Ali (AS) mola !
Saaya-e-dhoo-al-manan Ali (AS) mola
Rad-de-ranj o mehan, Ali (AS) mola!
Zeenath e anjuman, Ali (AS) mola
Mere man ki lagan Ali (AS) mola!
Raaz-e-khybar shikan, Ali (AS) mola !
Sir-e-sir-e-nahan Ali (AS) mola!
Be nishan ra nishan Ali (AS) mola !
Rehber-e-ins o jan Ali (AS) mola
Bab-e-ilm-e-rwan Ali (AS) mola
Fakhar-e-khatm e rusl, Ali (AS) mola
Aftab-e-sbal Ali (AS) mola !
Sher-e-yazdan Ali (AS) wali Allah
Shah-e-merdaan Ali (AS) wali Allah
La fata bar mala Ali Haider (AS)
Saqi e maikada Ali Haider (AS)
Hain nigah-e-Rasool SAW ke maqbool !
Warith-e-deen-e-Haq panah-e-batool
Faiz un ki nazar se milta hai
Kab idhar ya udhar se milta hai !
Main ne jab bhi unhe pukara hai
Ik sada aayi tu hamara hai
Faiz e alam hain mazhar e anwar
Un ke sadqay mein hoga beera paar