Kalams Page

Barh Kar Hai Khaak-e-tayyiba, Rif'at Mein Aasmaan Se

Poet: Aftab Naqvi | Book: Unknown | Type: Naat

Barh Kar Hai Khaak-e-tayyiba, Rif'at Mein Aasmaan Se


Barh kar hai khaak-e-Tayyiba, rif'at mein aasmaan se
Shams o qamar se afzun, roshan hai kahkashaan se

Arz-e-Hijaz hai ik ishq o wafa ki basti
Afzal hai kooye Ahmad jannat ke gulistaan se

Gumraahi wa jahalat insaan ka thein muqaddar
Ilm o hunar jo paaya, paaya is aastaan se

Aamad se teri phalien noor o yaqeen ki kirnein
Rukhsat hue andhere, weerana-e-jahaan se

Kaliyaan khilen khushi se, phoolon mein rang aaya
Baagh-e-hayaat meheka, khushboo-e-baaghbaan se

Toofaan ke thapray had se guzar gaye hain
Nao bache gi apni, rehmat ke baadbaan se

Chashm-e-karam ho Aaqa, Basna o Kashar par
Nisbat hai ab bhi un ko Aaqa-e-do jahaan se

Midhat sara hai Naqvi Maula ki azmaton ka
Phir khauf kyun ho us ko, Mahshar ke imtihaan se