Kalams Page

Bane Hain Madah Sultan Do Jahan Ke Liye

Poet: Altaf Hussain Hali | Book: Unknown | Type: Naat

Bane Hain Madah Sultan Do Jahan Ke Liye


Bane hain madah sultan do jahan ke liye
Sukhan zuban ke liye aur zuban dahan ke liye

Woh shah jis ka ado jeete jee jahannum mein
Adawat us ki azab aleem jahan ke liye

Woh shah jis ka mohib aman o aafiyat mein mudam
Mohabbat us ki hisar haseen amaan ke liye

Ghar us ka maurid quran o mahbat Jibreel
Dar us ka Kaaba maqsood ins o jahan ke liye

Sapher garam tawaf us ki bargah ke gird
Zameen sar basajood us ka astan ke liye

Madina marja o mawawae ahl Makka hua
Maqeen se rutba ye hasil hua makaan ke liye

Isi sharaf ke talabgaar the kaleem o Maseeh
Nawaid ummat paighambar zaman ke liye

Shafi khalq sarasar khuda ki rehmat hai
Basharat ummat e asi o natawan ke liye

Shafaat Nabiﷺ hai woh barq asiyan soaz
Ke hukm khas hai jahan kufr do jahan ke liye

Khuda ki zaat kareem aur Nabiﷺ ka khulq azeem
Guneh karein to karein rukhsat ins o jahan ke liye

Harif naat paighambar nahi sukhan Hali
Kahan se laiye aijaz us bayan ke liye