Kalams Page

Bahut Ranjeeda O Ghamgeen Hai Dil Ya Rasool Allah

Poet: Ilyas Attar Qadri | Book: Wasaail-e-Bakhshish | Type: Naat

Bahut Ranjeeda O Ghamgeen Hai Dil Ya Rasool Allah


Bahut ranjeeda o ghamgeen hai dil ya Rasool Allah
Karam kar do kali dil ki utthe khil ya Rasool Allah

Balaon ne mujhe har samt se kuch aisa ghera hai
Mire barhte hi jaate hain masail ya Rasool Allah

Paay imdaad apne sheir Hamza ko shaha bhejo
Mire peechay para hai haye! qatil ya Rasool Allah

Dil-e-maghmoom ka sab haal aaqa tum pe zaahir hai
Shaha! hoon marham-e-taskeen ka saail ya Rasool Allah

Gham o alaam ka maara hoon aaqa be sahara hoon
Meri aasan ho har aik mushkil ya Rasool Allah

Tumhein deta hoon Moula wastaa mein chaar yaron ka
Mire ho jayein tay mushkil marahil ya Rasool Allah

Jo tu chahe to mere gham ki beedhi gir pare kat kar
Nahin tere liye yeh koi mushkil ya Rasool Allah

Musalmaan aah! gafil hogaye neiki ki dawat se
Barhta jaata hai haye! zor-e-ba til ya Rasool Allah

Shaha mandla rahi hai maut sar par phir bhi mera nafs
Gunahon ki taraf har dam hai mael ya Rasool Allah

Barhta jaata hai har dam aah! ghalba nafs o shaitaan ka
Yeh har neiki mein ho jaate hain haail ya Rasool Allah

Gunahon ke sabhi amraaz aaqa door farma do
Sanwar jayein mere sab bad-khsaail ya Rasool Allah

Na London ki na Paris ki na America ki hai khwahish
Madina hi hamari toh hai manzil ya Rasool Allah

Shafaat Hashr mein farmaogay jab khush naseebon ki
Mujhe kar lena aaqa un mein shaamil ya Rasool Allah

Karam kar do bajuz isyaan nahin hai kuch bhi name mein
Ibadat hai na palle hain nawafil ya Rasool Allah

Hamare zakhm haaye gham Rasool-e-Pak bhar jayein
Jigar ho tere gham mein kaash! ghayal ya Rasool Allah

Kuch aisi aag ulfat ki laga do mere sine mein
Mein tadpoon khoob tadpoon misl-e-bismil ya Rasool Allah

Tere ikhlaaq par qurban tere aosaf par waari
Musalmaan kya adu bhi tera qail ya Rasool Allah

Shaha! jab Khuld mein aap agay agay jayein us dam kaash
Mein bhi ho jaoon peechay peechay dakhl ya Rasool Allah

Abhi ban jaye bigri tere ik adna ishare se
Tere Attar ke hal hoon masail ya Rasool Allah