Kalams Page

Baais-i-Sukoon-i-Dil Ka, Muhammadﷺ Ka Naam Hai

Poet: Bashar Afghani | Book: Unknown | Type: Naat

Baais-i-Sukoon-i-Dil Ka, Muhammadﷺ Ka Naam Hai


Baais-i-sukoon-i-dil ka, Muhammadﷺ ka naam hai
Har dam meri zabaan pe durood o salaam hai

Farsh-i-haram hai zair-i-qadam shah-i-deen ke
Arsh bareen Huzoorﷺ ke zair-i-khuddam hai

Din ko Huzoor kufr se garm-i-jihad hain
Aur shab ko ahtemam-i-sajood o qiyaam hai

Hub-i-Rasool Pak hai, imaan ki daleel
Is qoul pe gawaah Khuda ka kalaam hai

Hai zaad-i-raah zikr, Risaalat Maab ka
Wajah, najaat, taat-i-shah anaam hai

Azaad kar diya hai aseeran-i-jang ko
Allah rey Huzoor ka yeh faiz-i-aam hai

Makhluq mein buland hai insaan ka martaba
Ooncha Khuda ke baad Nabi ka maqaam hai

Khayral-umam ka hum ko laqab mil gaya bashar
Yeh sab tufail-i-Hazrat-i-Khayral-a naam hai