Kalams Page

Baad-e-Rehmat Sunk Sunk Jaye

Poet: Hafeez Taib | Book: Kuliyat-e-Hafeez Taib | Type: Naat

Baad-e-rehmat Sunk Sunk Jaye


Baad-e-rehmat sunk sunk jaye
Waadi-e-jaan mehak mehak jaye

Jab chharre baat nutq-e-hazratؐ ki
Ghuncha fan chatak chatak jaye

Maah-e-Taiba ka jab khayal aaye
Shab-e-hijraan chamak chamak jaye

Jab samaaye nazar mein woh paikar
Zehan mera damak damak jaye

Faiz-e-chashm-e-huzoorؐ kya kehna
Saghar-e-dil chhalak chhalak jaye

Naam-e-paak un ka ho labon se ada
Shehad go ya tapak tapak jaye

Arz-e-dil se uthe nawa-e-darood
Goonj is ki falak falak jaye

Reh numa gar na ho woh seerat-e-paak
Har musaafir bhatak bhatak jaye

Chashm-e-Sarkarؐ gar na ho nigaraan
Nasal-e-aadam behak behak jaye

Kaun woh fard hai ke jis ke liye
Dil-e-fitrat dharak dharak jaye

Matla-e-kainat par Taibؔ
Noor kis ka jhalak jhalak jaye