Kalams Page

Aya-e-kainat Ka Ma'ni-e Der Yaab Tu

Poet: Allama Iqbal | Book: Unknown | Type: Naat

Aya-e-kainat Ka Ma'ni-e Der Yaab Tu


Aya-e-kainat ka ma'ni-e der yaab tu
Niklay teri talash mein qafila haay rang o boo

Jalwatiyan-e-madarsa kor nigah o murda zoq
Khalwatiyan-e-me kadah kam talab o tehi kadu

Main ke meri ghazal mein hai aatish-e-rafta ka suragh
Meri tamam sarguzasht khoye huo'n ki justuju

Bād-e-saba ki mauj se nashwo numāy khār o khus
Mere nafas ki mauj se nashwo numāy arzu

Khūn-e-dil o jigar se hai meri nawa ki parwarish
Hai rag-e-sāz mein rawan sahib-e-sāz ka lahoo

‘Fursat-e-kashmakash madah een dil-e-beqarar ra
Yak do shikan ziada kun gesu-e-tābdar ra