Kalams Page

Awwal Us Ka Aakhir Us Ka

Poet: Muzaffar Warisi | Book: Noor-e-Azal | Type: Naat

Awwal Us Ka Aakhir Us Ka


Awwal us ka aakhir us ka
Baatin jaisa zaahir us ka

Roshni o aaeena mujassam
Sall Allahu alayhi wa sallam

Taaj na turra maal na maaya
Aur saari makhluq raaia
Insanon ke
bhaag jagaye
Tehzeebon ki palti kaaya
Us ka takallum hukm e Ilaahi
Us ki zabaan se bole Khuda hi
Baat aafaaqi lehja madhum
Sall Allahu alayhi wa sallam

Jang bhi us ki aman ki haamil
Waar bhi us ka pyaar ke qabil
Takht chattaai
Mulk Khudaai
Ghar parao sidra manzil
Dushman jaan bhi us ko bhaaein
Tegh tawakul teer duaaein
Zaat hi lashkar haath hi parcham
Sall Allahu alayhi wa sallam

Pyaar Nabi ka zikr Nabi ka
Rooh ka jhumar nutq ka teeka
Laakh bura hoon
Us ko hi chaahoon
Jaisa hoon kehlaaoon usi ka
Us ki aahat us ka saaya
Mera dhan mera sarmaaya
Us ka ism hi ism a'azam
Sall Allahu alayhi wa sallam

Yaad mein us ki aankh bhigoona
Andar se hai ujla hona
Us nagri ke
Sang bhi heere
Un peeron ki khaak bhi sona
Qurbat Yezdaan chah mein us ki
Us ke safar mein raah mein us ki
Zarre bhi jugnu dhoop bhi shabnam
Sall Allahu alayhi wa sallam

Khair o shar ki jang chhri hai
Duniya hum par tang hui hai
Aansoo chun le
Kaash woh sun le
Ummat us ki cheekh rahi hai
Rahm ki baarish karne wala
Woh hai ya Allah Ta'ala
Hum us ke woh haq ka mehram
Sall Allahu alayhi wa sallam