Kalams Page

Ashraf Ul Anbiya Hai Hamara Nabi ﷺ

Poet: Akbar Shah Warisi | Book: Unknown | Type: Naat

Ashraf Ul Anbiya Hai Hamara Nabi ﷺ


Ashraf ul Anbiya hai hamara Nabi ﷺ
Woh Nabi ﷺ kaun? Ummat ka pyara Nabi ﷺ

Bulbulon ne jo dekhi malahat teri
Gul ko sadqay mein tujh par utara Nabi

Tum ho woh husn walay keh Allah ne
Apna mehboob keh kar pukara Nabi ﷺ

Aur Nabioun ko makhsoos thein ummatain
Har ik alam ka baadi hamara Nabi ﷺ

Aaj Yusuf bhi un ki ghulami mein hai
Tum ne dekha Zulaikha hamara Nabi ﷺ

Hai shafaat ke sehray ki sar pe phaban
Aaj dulha bana hai hamara Nabi ﷺ

Behr isyan ke girdab mein nao hai
Duba duba mujhe do sahara Nabi ﷺ

Kooch Akbar ka jis waqt duniya se ho
Lab pe jari ho kalma tumhara Nabi ﷺ