Kalams Page

As Ne Kaha Ke Mujh Ko Yeh "Sona" Pasand Hai

Poet: Mohsin Naqvi | Book: Haq Ailya | Type: Manqabat

As Ne Kaha Ke Mujh Ko Yeh "Sona" Pasand Hai


As ne kaha ke mujh ko yeh "sona" pasand hai
As ne kaha yeh jins hi itni buland hai

As ne kaha ke mansab-e-bazaar kaun hai?
As ne kaha ke aaj kharidaar kaun hai?

As ne kaha ke naam batana zarur hai?
As ne kaha ke jins pe mujh ko garoor hai?

As ne kaha ke chhor bhi ab jaanta to hai
As ne kaha ke tu mujhe pehchaanta to hai

As ne kaha ke naam ki ab zid na kijiye
As ne kaha ke aur dukan dekh lijiye

As ne kaha ke dekh faza kitni naik hai
As ne kaha yeh jins karoron mein aik hai

As ne kaha ke naam pe urne se faida
As ne kaha ke muft bigardne se faida

As ne kaha ke kaise tere dil mein ghar karen
As ne kaha ke baat zara mukhtasar karen

As ne kaha ke sun woh ahad hai adad nahin
As ne kaha ke jins ke bhi khaal o khud nahin

Khush ho ke zaat-e-haq hai bani mushtari teri
Pehle bhi is pe qarz hai angushtari meri

As ne kaha ke woh to sakhaawat ki baat thi
As ne kaha huzoor murawwat ki baat thi

As ne kaha ke woh tha ooliul amr ka maqam
As ne kaha ke hum ne barhaya tha tera naam

As ne kaha ke aaj yeh sona hai kis tarah
As ne kaha ke dekh munasib ho jis tarah

As ne kaha ke jins ki qeemat suna mujhe
As ne kaha ke apna iraada bata mujhe

As ne kaha main bhao chukata nahin kabhi
As ne kaha main nerkh batata nahin kabhi

As ne kaha ke sahab-e-meyaar ban ke aa
As ne kaha ke tu bhi kharidaar ban ke aa

As ne kaha ke jins pe chadar hai kis liye?
As ne kaha kisi ki nazar hi na lag sake

As ne kaha ke jins zara waqf-e-deed kar
As ne kaha ke is ko parkhna kharid kar

As ne kaha ke kuch to mere dil ka kar khayal
As ne kaha ke haath idhar la idhar sambhal

As ne kaha ke koi adu kaarobaar mein
As ne kaha ke ro raha hoga woh ghaar mein

As ne kaha ke jins ke bare mein kya karen?
As ne kaha ke aap hi kuch faisla karen

As ne kaha ke aaj se arz o sama tere
As ne kaha ke woh to nahin naqsh-e-pa mere

As ne kaha ke shams o qamar bhi tere ghulam
As ne kaha ke yeh meri angusht ka hai kaam

As ne kaha qaza o qadr bhi hai tere naam
As ne kaha ke in se to khele mere ghulam

As ne kaha khudai ke sajde tere nisaar
As ne kaha ke woh meri ek zarb ka ghubar

As ne kaha ke loh o qalam bhi tere supurd
As ne kaha kuch aur barha meri dastbard

As ne kaha ke waaris-e-lel o nahar tu
As ne kaha kuch aur barha meri aabroo

As ne kaha saza o jaza tujh pe munhasir
As ne kaha ke mushtari matlab ki baat kar

As ne kaha ke khuld bhi teri kaneez hai
As ne kaha ke woh mere bachon ki cheez hai

As ne kaha ke saqi kausar bhi tu hai ab
As ne kaha mere martab barhenge kab?

As ne kaha ke fateh-e-khayber tera laqab
As ne kaha ke baat to ban-ne lagi hai ab

As ne kaha ke mere farishte tere ghulam
As ne kaha karunga teri bandagi mudam

As ne kaha ke badr o ahad bhi tujhe naseeb
As ne kaha ke is se jalen ge mere raqeeb

As ne kaha kuch aur bhi karna hai ab wusool
As ne kaha ke jo teri marzi ho sab qubool

As ne kaha phir aaj se meri raza hai tu
Main tera madua hoon mera madua hai tu

As ne kaha ke bas meri sarkar shukriya
As ne kaha nahin tera so baar shukriya

Tha mushtari bhi khush, mera tajir bhi so gaya
"sona" Ali ke sadqe mein anmol ho gaya