Arsh Ki Aql Dang Hai Charkh Mein Aasman Hai
Arsh Ki Aql Dang Hai Charkh Mein Aasman Hai
Arsh ki aql dang hai charkh mein aasman hai
Jaan-e-muraad ab kidhar haaye tira makaan hai
Bazm-e-sanaye zulf mein meri aroos-e-fikr ko
Saari bahar-e-hasht khuld chhota sa itr daan hai
Arsh pe ja ke murgh-e-aql thak ke giraaghsh aagaya
Aur abhi manzilon paray pehla hi aastan hai
Arsh pe taaza chhed chhaad farsh mein tarfa dhoom dhaam
Kaan jidhar lagaiye teri hi daastaan hai
Ik tare rukh ki roshni chain hai do jahaan ki
Ins ka uns usi se hai jaan ki woh hi jaan hai
Woh jo na the to kuch na tha woh jo na hon to kuch na ho
Jaan hain woh jahaan ki jaan hai to jahaan hai
God mein aalam-e-shabaab haal-e-shabaab kuch na poochh!
Gulban-e-baagh-e-noor ki aur hi kuch uthaan hai
Tujh sa siyaah kaar kaun un sa shafee hai kahaan
Phir woh tujhi ko bhool jaayein dil ye tira gumaan hai
Paish-e-nazar woh no bahaar sajde ko dil hai beqaraar
Rokee sir ko rokee haan yehi imtihaan hai
Shaan-e-khuda na saath de un ke kharaam ka woh baaz
Sidra se ta zameen jisay narm si ik uraan hai
Baar-e-jalaal uthaa liya garchay kalija shaq hua
Yoon to ye maah-e-sabza rang nazron mein dhaan paan hai
Khauf na rakh Raza zara tu to hai abd-e-Mustafa
Tere liye amaan hai tere liye amaan hai