Kalams Page

Arsh-e-haq Hai Masnad-e-rif'at Rasool Allah Ki

Poet: Ahmed Raza Khan Barelvi | Book: Hadaiq-e-Bakhshish | Type: Naat

Arsh-e-haq Hai Masnad-e-rif'at Rasool Allah Ki


Arsh-e-Haq hai masnad-e-rif'at Rasool Allah ki
Dekhani hai Hashar mein izzat Rasool Allah ki

Qabar mein lehraen ge ta Hashar chashme noor ke
Jalwa farma hogi jab tal'at Rasool Allah ki

Kaafiron par tegh-e-wala se giri barq-e-ghazab
Abr aasa chha gayi haibat Rasool Allah ki

La wa Rabb-il-'Arsh jis ko jo mila unse mila
Bat'ti hai konain mein ni'mat Rasool Allah ki

Woh jahannum mein gaya jo unse mustaghni hua
Hai Khaleel Allah ko haajat Rasool Allah ki

Sooraj ul'te paon pal'te chaand ishare se ho chaak
Andhe najdi dekh le qudrat Rasool Allah ki

Tujh se aur jannat se kya matlab Wahabi door ho
Hum Rasool Allah ke jannat Rasool Allah ki

Zikr roke fazl kaate nuqs ka joyaN rahe
Phir kahe mardak ke hoon ummat Rasool Allah ki

Najdi usne tujh ko mohlat di ke is aalam mein hai
Kaafir o murtad pe bhi rahmat Rasool Allah ki

Hum bhikari woh kareem unka Khuda unse fuzoon
Aur na kehna nahi adat Rasool Allah ki

Ahl-e-sunnat ka hai beira paar as'hab-e-huzoor
Najm hain aur nao hai itrat Rasool Allah ki

Khaak ho kar ishq mein aaraam se sona mila
Jaan ki ikseer hai ulfat Rasool Allah ki

Toot jaenge gunaahgaaron ke foran qaid o band
Hashar ko khul jaegi taqat Rasool Allah ki

Yaarab ik saa'at mein dhul jaen siyah kaaron ke jurm
Josh mein aajae ab rahmat Rasool Allah ki

Hai gul baagh-e-qudus rukhsar-e-zaebaaye Huzoor!
Sar o gulzar-e-qadam kaamat Rasool Allah ki

Ae Raza khud sahib-e-Qur'an hai mad-dah-e-huzoor
Tujh se kab mumkin hai phir mid'hat Rasool Allah ki