Apni Rehmat Ke Samundar Mein Utar Jane De
Apni Rehmat Ke Samundar Mein Utar Jane De
Apni rehmat ke samundar mein utar jane de
Be thikana hoon azal se mujhe ghar jane de
Teri soorat ki taraf dekh raha hoon aaqa
Putliyon ko usi markaz pe thehar jane de
Maut par meri shaheedon ko bhi rashk aaye ga
Apne kadmon se lipat kar mujhe mar jane de
Sooe batha liye jati hai hawae batha
Booe duniya mujhe gumrah na kar jane de
Khwaahish-e-zaat bohot saath diya hai tera
Ab jidhar mere Muhammad hain udhar jane de
Zindagi gunbad-e-Khazra hi to manzil hai meri
Mujh ko haryalion mein khaak basar jane de
Rok, Rizwan na Muzaffar ko dar-e-jannat par
Yeh Muhammad ka hai manzoor-e-nazar, jane de