Apne Qadmon Mein Bula Khwaja Piya Khwaja Piya
Apne Qadmon Mein Bula Khwaja Piya Khwaja Piya
Apne qadmon mein bula Khwaja piya Khwaja piya
Aur jalwa bhi dikha Khwaja piya Khwaja piya
Ho karam barhaal-e-maa Khwaja piya Khwaja piya
Az paye data piya Khwaja piya Khwaja piya
Aah! kitni der se main door hoon Ajmer se
Jaane main kab aaun ga Khwaja piya Khwaja piya
Mustafa ke Anbiya ki har sahabi aur wali
Ki muhabbat ho ata Khwaja piya Khwaja piya
Ya Moeen-ud-Din Ajmeri! karam ki bheek do
Az paye Ghaus o Raza Khwaja piya Khwaja piya
Shabbir o Shabbir ka sadqa bulaen door hoon
Ae mere mushkilkasha Khwaja piya Khwaja piya
Aafton ki aandhiyan kar door de aman o amaan
Behr-e-khaak-e-Karbala Khwaja piya Khwaja piya
Dil se duniya ki muhabbat ki museebat door ho
Deedo ishq-e-Mustafa Khwaja piya Khwaja piya
Teri ulfat mein jiyoon teri muhabbat mein maroon
Ho karam aisa Shaha! Khwaja piya Khwaja piya
Jhooliyan bhartay ho mangtoon ki mujhe bhi ho ata
Hissa-e-jood o sakha Khwaja piya Khwaja piya
Nay main saail-e-Raj ka nay takht ka nay taj ka
Main faqat mangta tera Khwaja piya Khwaja piya
Yeh sag-e-darbaar Khwaja! taalib-e-deedaar hai
Chehra-e-anwar dikha Khwaja piya Khwaja piya
Dushmanon mein hoon ghira Siddiq ka sadqa bacha
Almadad Khwaja piya Khwaja piya Khwaja piya
Oont baithe uth na paaye sarbaan hairaan thay
Yeh karaamat wah wah! Khwaja piya Khwaja piya
Aa gya saara "Anasagar" teri chhaagal mein khoob
Sha’n teri marhaba! Khwaja piya Khwaja piya
Apni manzil se kabhi bhi woh bhatak sakta nahin
Jis ke tum ho rehnuma Khwaja piya Khwaja piya
Istiqaamat mazhab-e-Islam par mil jaye kaash!
Haath utha kar kar dua Khwaja piya Khwaja piya
Khatima bilkhair ho meethay Madine mein mera
Haath utha kar kar dua Khwaja piya Khwaja piya
Hajj ki mil jaye saadat sabz gunbad dekh loon
Haath utha kar kar dua Khwaja piya Khwaja piya
Kaash! qismat se Madine mein shahadat paoon mein
Haath utha kar kar dua Khwaja piya Khwaja piya
Ho Baqee’-e-Pak mein tadfeen meri khair se
Haath utha kar kar dua Khwaja piya Khwaja piya
Ek zarra ho ata Attar ke ho jaayega
Khwaja! ghar bhar ka bhala Khwaja piya Khwaja piya