Apna Gham Ya Shahe Anbiya Dijiye
Apna Gham Ya Shahe Anbiya Dijiye
Apna gham ya shahe anbiya dijiye
Chashm-e-nam ya habib-e-Khuda dijiye
Chaak seena shahe dosra dijiye
Qalb be chain ya Mustafa dijiye
Mujh ko aaqa madine bula lijiye
Aur mehman apna bana lijiye
Dar pe bulwa ke jalwa dikha dijiye
Mera seena madina bana dijiye
Iltija hai meri ya habib-e-Khuda
Ashkbar aankh ho jaye mujh ko ata
Az tufail-e-Bilal o Owais o Raza
Aansuo'n ka khazana shaha dijiye
Soz-e-Ulfat ke dil mein jalae diye
Yaad-e-Tayba mein jo ja rahe hain jiye
Aur be taab hain hazri ke liye
Un ko meetha madina dikha dijiye
Mujh ko ahbaab tanha chale chhod kar
Jald lije khabar Amina ke pisar!
Ghup andhera hai ya shahe jinn o bashar
Noor se lahd ab jagmaga dijiye
Hai gunaho'n ka anbar sultan-e-deen!
Nekiyaa'n mere palle mein kuch bhi nahi
Chaak ho jaye parda na mera kahin
Ab Khuda se shaha! bakhshwa dijiye
Kaash! Neki ki dawat mein doon jaga-jaga
Sunnatein aam karta rahoon jaga-jaga
Gar sitam ho use bhi saho'n jaga-jaga
Aisi hummat habib-e-Khuda dijiye
Phir Arab ki haseen wadiyaan dekhne
Sabz gunbad ki haryalian dekhne
Roza-e-pak ki jaaliyan dekhne
Izn badkaar ko Mustafa dijiye
Hai tamanna-e-Attar-e? Andohgeen
Ho nigah-e-karam is pe sultan-e-deen
Bas baqi-e-mubarak mein do gaz zameen
Az tufail-e-shah-e-Karbala dijiye