Kalams Page

Anbiya Ke Sarwar O Sardaar Par Lakhon Salaam

Poet: Ilyas Attar Qadri | Book: Wasaail-e-Bakhshish | Type: Naat

Anbiya Ke Sarwar O Sardaar Par Lakhon Salaam


Anbiya ke sarwar o sardaar par lakhon salaam
Jhoom kar saare kaho sarkaar par lakhon salaam

Rabb ke mehboob Ahmad-e-Mukhtar par lakhon salaam
Sab pukaaro Sayyid-e-Abraar par lakhon salaam

Chaare-e-bechaar gaan par hoon duroodein sad hazaar
Be-kasoon ke haami o ghamkhaar par lakhon salaam

Purziya purnoor pyari pyari daarhi par durood
Mustafa ke gesoo-e-khamdaar par lakhon salaam

Jubba-e-aqdas pe chaadar par imaame par durood
Jaan-e-aalam! aap ki paizaar par lakhon salaam

Rehmatain lakhon Abu Bakr o Umar Usman par
Mere Maula Haider-e-Karrar par lakhon salaam

Karbala ke har shaheed-e-bawafa par rehmatain
Bebiyon par, aabid-e-beemar par lakhon salaam

Hai yaqeenan har sahabi jaan nisaar-e-Mustafa
Har muhajir aur har ansaar par lakhon salaam

Masjid-e-Nabawi ke mehrab aur minbar par durood
Sabz gunbad aur har minaar par lakhon salaam

Dasht o kohsaar-e-Madina, khaak-e-Tayyiba par durood
Ped, patthar, phool aur har khar par lakhon salaam

Mehki mehki bheeni bheeni hai Madine ki fiza
Us faza-e-pak khushboudaar par lakhon salaam

Khoob bhejo mil kar deewano! adab se jhoom kar
Tum Madine ke haseen gulzaar par lakhon salaam

Qabr mein lehrayein ge jis waqt jalwe noor ke
Hum parhein ge rooye pur-anwaar par lakhon salaam

Ae Madine ke musafir! le ke ja mera paighaam
Bhejna ro ro ke tu sarkaar par lakhon salaam

Ya Nabi! jitne bhi deewane yahan maujood hain
Kaash! sab aakar parhein darbaar par lakhon salaam

Mere pyare peer o murshid Sayyidi Ghaus-ul-Awwaleen
Auliya Allah ke sardaar par lakhon salaam

Jo gaya Ajmer mein dil ki muraaden pa gaya
Mere Khwaja ke sakhī darbaar par lakhon salaam

Sayyidi Ahmad Raza ne khoob likha hai kalaam
Un ke saare naatiya ash’aar par lakhon salaam

Hoo chuke hon ge jahan mein jis qadar bhi auliya
Un par, har ek un ke khidmatgaar par lakhon salaam

Maghfirat kar ae Khuda Attar-e-Badaatwar ki
Bheej yarab ummat-e-sarkaar par lakhon salaam

Meethe murshid ne Baqee’-e-Pak mein paaya mazaar
Saare bhejo murshid-e-Attar par lakhon salaam