Allah! Koi Hajj Ka Sabab Ab To Bana De
Allah! Koi Hajj Ka Sabab Ab To Bana De
Allah! koi hajj ka sabab ab to bana de
Jalwa mujhe phir gunbad-e-khazra ka dikha de
Gham aisa madine ka ata karde ilahi
Khushiyon ke gulistan ko jo mere jala de
Yarab! main tare khauf se rota rahun har dum
Dewana shehnshah-e-madina ka bana de
Jab naat sunun jhoom uthun ishq-e-nabi mein
Aisa mujhe mastana Muhammad ka bana de
Sadqe mein mare ghous ke tu khawab mein yarab
Jalwa mujhe sultan-e-madina ka dikha de
Sakraat mein gar ruwe Muhammad pe nazar ho
Har maut ka jhatka bhi mujhe phir to maza de
Jab hashr mein aaqa nazar aayein mujhe ae kash!
Be-sakhta kadmon mein mera shauq gira de
Uf hashr ki garmi bhi hai aur pyaas bala ki
Ae saqi-e-kausar mujhe ek jaam pila de
Har waqt jahan se ke unhein dekh sakun main
Jannat mein mujhe aisi jagah pyare khuda de
Allah! mujhe soz o gudaaz aisa ata kar
Tadpa de bayan naat-e-nabi mujhe rula de
Tu peeche na hatna kabhi ae pyare muballigh!
Shaitan ke har waar ko nakaam bana de
Attar hon main un ka gada ab to tawajjuh
Bas janib-e-shahan-e-jahan meri bala de