Kalams Page

Allah Ki Rehmat Se Phir Azm-e-Madina Hai

Poet: Ilyas Attar Qadri | Book: Wasaail-e-Bakhshish | Type: Naat

Allah Ki Rehmat Se Phir Azm-e-Madina Hai


Allah ki rehmat se phir azm-e-Madina hai
phir azm-e-Madina hai tayar safeena hai
chand ashk, nadamat ke hai zad-e-safar mera
palle mein ibadat ka koi na khazeena hai

go rah-e-Madina par mein chal to para hoon par
afsos saleeqa hai koi na qareena hai
sadqe mein Muhammad ke de bakhsh use yarab
mujrim hai jo aasi hai badkar o kameena hai

ae Noor-e-Khuda akar chamka do piye murshid
sarkar mere dil ka be-Noor nageena hai
jismaani mareezon ko Allah shifa dede
achha hai faqat wo jo beemaar-e-Madina hai

tum jaante ho kya hai ye dawat-e-Islami
Faizan-e-Madina hai Faizan-e-Madina hai
sarkar ki Sunnat ki tableegh kiye jao
jaam aap ke haathon se gar hashr mein peena hai

har dam mere honton par bas zikr-e-Madina ho
ye meri tamanna ae Sultan-e-Madina hai
ashaq tadapte hain yaad-e-sheh-e-Batha mein
aata ye jahan mein jab bhi haj ka mehina hai

Mahboob ka mastana sarkar ka deewana
dil us ka Madina hai seena bhi Madina hai
Gham meethe Madine ka ae kaash! Ke mil jaye
armaan yehi dil mein ae Shah-e-Madina hai

tu kar de ata mujh ko roti hui aankhen aur
gham mein tere aaqa jo jalta hua seena hai
afsos marz barhta jata hai gunahon ka
de dije shifa arz ae Sarkar-e-Madina hai

duniya ka gulistan kya jannat ki mehak se bhi
khushboo mein kahin barh kar aqaa ka paseena hai
rota hua pohancha tha rota hua lauta tha
hain vasl ki do ghariyan phir hijr-e-Madina hai

daulat ki farawani hai maangna nadani
bas asal mein daulat to ulfat ka khazeena hai
ashaq ki nazron mein weran gulistan hain
dil un ka to shaydaa-e-Sahra-e-Madina hai

Attar ko gar tu bhi thukra de kahan jaye
tera hai ye tera hai go lakh kameena hai