Kalams Page

Allah Ho Allah Ho Bande Har Dam Allah Ho

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Hamad

Allah Ho Allah Ho Bande Har Dam Allah Ho


Allah ho Allah ho bande har dam Allah ho
Peechay peechay maut hai teri aagay aagay tu

Na kuch tera na kuch mera soch aray nadan
Na kuch tera na kuch o ghafil insaan
Sab kuch jane, jaan boojh kar banay ho kyun nadan
Dara aur Sikandar jaise shahenshah aalishaan
Laakhon man mitti mein soye baday baday sultaan
Teri kya oqaat hai bande kuch bhi nahin tu

Tera mera jeevan jaise chalte phirte saaye
Joo joo bharti jaaye umriyaan, jeevan ghatt'ta jaaye
Maut khadi hai sar pe tere jane kab aajaaye
Ek saans ka panchi hai tu kaun tujhe samjhaaye
Reh jaaye ga pinjara khaali, ud jaaye ga tu

Tanha qabr mein hoga tera koi na hoga mate
Allah hi Allah bol re bande jeevan baazi jeet
Dhalta sooraj roz sunaaye tujhe fana ke geet
Neend se aankhen khol ay ghaafil, kaisi hai ye preet
Ke Allah tera jaag raha hai aur sota hai tu