Allah Hamen Kar De 'Ata Qufl-e-Madina
Allah Hamen Kar De 'Ata Qufl-e-madina
Allah hamen kar de 'ata qufl-e-Madina
Har aik musalman le laga qufl-e-Madina
Yarab na zarurat ke siwa kuch kabhi bolun!
Allah zaban ka ho 'ata qufl-e-Madina
Bak bak ki yeh adat na sar-e-hashr phansa de
Allah zaban ka ho 'ata qufl-e-Madina
Har lafz ka kis tarah hisab aah! mein dunga
Allah zaban ka ho 'ata qufl-e-Madina
Aksar mere honton pe rahe zikr-e-Muhammad
Allah zaban ka ho 'ata qufl-e-Madina
Barhta hai khamoshi se waqar aye mere pyare
Aye bhai! zaban par tu laga qufl-e-Madina
Hai dabdaba khamoshi mein haibiyat bhi hai pinhan
Aye bhai! zaban par tu laga qufl-e-Madina
Rakh lete the pathar sun Abu Bakar dahan mein
Aye bhai! zaban par tu laga qufl-e-Madina
Chup rehne mein so sukh hain tu yeh tajriba kar le
Aye bhai! zaban par tu laga qufl-e-Madina
Aaqa ki haya se jhuki rehti nazar aksar
Aankhon pe mere bhai laga qufl-e-Madina
Gar dekhe ga filmein tu qayamat mein phanse ga
Aankhon pe mere bhai laga qufl-e-Madina
Aankhon mein sar-e-hashr na bhar jaye kahin aag
Aankhon pe mere bhai laga qufl-e-Madina
Bolun na fuzul aur rahein neechi nigahen
Aankhon ka zaban ka de Khuda qufl-e-Madina
Aaye na mujhe waswase aur gande khayalat
De zehan ka aur dil ka Khuda qufl-e-Madina
Raftar ka guftaar ka kirdar ka de de
Har uzoo ka de mujh ko Khuda qufl-e-Madina
Dozakh ki kahan taab hai kamzor badan mein
Har uzoo ka 'attar laga qufl-e-Madina