Allah Allah Tera Darbar Rasool-e-Arabi
Allah Allah Tera Darbar Rasool-e-Arabi
Allah Allah tera darbaR Rasool-e-Arabi
Tera darbaR karam baar Rasool-e-Arabi
be kasun ke ho madadgaar Rasool-e-Arabi
ghamzadon ke bhi ho ghamkhaar Rasool-e-Arabi
kul khudai ke ho mukhtar Rasool-e-Arabi
tum Rasoolon ke bhi sardar Rasool-e-Arabi
Ik nazar Ya shahe abrar Rasool-e-Arabi
Bas tura hi rahun bimaar Rasool-e-Arabi
phir dikha do mujhe ik baar Rasool-e-Arabi
tum madine ka woh gulzaar Rasool-e-Arabi
Saamne hoon ture meynaar Rasool-e-Arabi
Gunbad-e-sabz ke anwar Rasool-e-Arabi
Tera sahra, tura kuhsaar Rasool-e-Arabi
aur ho yeh tura badkaar Rasool-e-Arabi
Teri deewaar ko choomoon tura darwaza bhi
Dhul bhi phool bhi aur khaar Rasool-e-Arabi
Joon hi rota hua aaon mein ture roza par
Kash! usi aan ho deedar Rasool-e-Arabi
Koi khaali nahi loota kabhi dar se Aqa
Hai sakhi aap ka darbaR Rasool-e-Arabi
Koi daulat, koi sarwat koi shohrat chaahay
Mein faqat tura talibgaar Rasool-e-Arabi
Aatash-e-ishq bharakti hi rahe seene mein
Bas tadapta rahoon sarkaar! Rasool-e-Arabi
Aap ke hijr ka gham kash rulaye mujh ko
Khoon rota rahoon sarkaar! Rasool-e-Arabi
Ho "Madinah hi Madinah" mere lab par aye kash
Har ghari ho yehi takraar Rasool-e-Arabi
mujh ko deewana bana lo shahe wala apna
Mere sarwar mere sardar Rasool-e-Arabi
Tire darboor-e-gaharbaar ke sab saail hain
Aghniya hoon ka hoon nadar Rasool-e-Arabi
Tire deewane tarapte hain Madine ke liye
woh bhi dekhen tura darbaar Rasool-e-Arabi
Door sunnat se musalman hue jaate hain
Aah! fashion ki yelghaar Rasool-e-Arabi
Sunnatoun ka ho 'ta dard musalmanon ko
Door fashion ki ho bharmaar Rasool-e-Arabi
Mera seena teri sunnat ka madinah ban jaaye
Sunnatoun ka karoon parchar Rasool-e-Arabi
Jaam-e-deedar pila do mere aqa! ab to
Aankh hai kab se talibgaar Rasool-e-Arabi
Mushkilein meri hoon aasan baraye murshad
Mere haami, mere ghamkhaar Rasool-e-Arabi
Wastah Ghous o Raza ka sar-e-baaleen aja
Jaan balab hai tura bimaar Rasool-e-Arabi
Muskurate hue ushhaq chale duniya se
Qabar mein hoga jo deedar Rasool-e-Arabi
Hub-e-duniya mein gariftar hai nafas-e-zaalim
Almadad Yashahe abrar! Rasool-e-Arabi
Dil pe shaitan ne aqa hai jamaya qabzah
Hoon gunnahoun mein gariftar Rasool-e-Arabi
Aah! barhta hi chala jaata hai marz-e-isyan
Do shifa Sayyed-e-abrar Rasool-e-Arabi
Mein gunnahgaar, siyahkaar o khataakaar sahi
Par hoon kis ka? tura sarkaar Rasool-e-Arabi
Meri har khaslat-e-bad dure ho Jaan-e-Alam!
Nek ban jaon mein sarkaar, Rasool-e-Arabi
Garmi-e-Hashar se be taab hoon Shah-e-Kauthar
Ho nazar suey gunnahgaar Rasool-e-Arabi
Ab to sarkaar! ho Attar pe nazar-e-rahmat
Keh do apna sag-e-darbar Rasool-e-Arabi