Ali Ke Ishq Ka Beemar Beemar-e Muhammadؐ Hai
Ali Ke Ishq Ka Beemar Beemar-e Muhammadؐ Hai
Ali ke ishq ka beemar beemar-e Muhammadؐ hai
Ali ka chahne wala talabgaar-e Muhammadؐ hai
Ali ki guftagu wallah guftaar-e Muhammadؐ hai
Ali al-Murtaza ki deed deedaar-e Muhammadؐ hai
Zamana jaanta hai aap ne kya kya nahi paaya
Kisi ne bhi nahi paaya jo paaya aap ne paaya
Husainؓ ibn Ali ke sar pe hai Allah ka saaya
Gadaaye koocha-e Shabbir dildar-e Muhammadؐ hai
Sakhi aise ke jin par khud sakhaawat naaz karti hai
Imaam aise ke jin par khud imaamat naaz karti hai
Shaheed aise ke jin par khud shahadat naaz karti hai
Jo sach poocho to ye darbaar darbaar-e Muhammadؐ hai
Mite aise ke mit kar phir shujaat zinda kardi
Hamiyat zinda kar di sadaqat zinda kar di
Rasool-e-Pakؐ ki aazam shariat zinda kar daali
Ise kehte hain aashiq ye wafadaar-e Muhammad hai